sañgīñ nahīñ ki tāj-mahal marmarīñ nahīñ
kyā zalzale kā dev bhī zer-e-zamīñ nahīñ
vo din ga.e ki hote the murġhān-e-tar-navāz
ab kaun hai chaman meñ jo ġhuncha-nashīñ nahīñ
kis kā karishma hai ye tanavvo nigāh kā
aisā nahīñ koī jo kisī kā hasīñ nahīñ
ta.avīz mol laa.e haiñ sālosiyāñ se ham
as.hāb-e-e'tiqād haiñ sāhab-yaqīñ nahīñ
chhup-chhup ke vo bhī merī taraf dekhtā hai kyuuñ
inshā kī tarah maiñ to koī nāznīñ nahīñ
murġhān-e-ham-safīr kī umreñ darāz hoñ
merī bhī ik navā hai navā-e-navīñ nahīñ
ai ishq sab ko hai tirī yūrish kā intizār
jo jo qalam-raveñ tire zer-e-nagīñ nahīñ