Syed Arif Ali Arif

zist mein koshish-e-nakaam se pahle pahle

Syed Arif Ali Arif

Shahabad, Uttar pradesh, India

ziist meñ koshish-e-nākām se pahle pahle
soch āġhāz ko anjām se pahle pahle
har bure kaam kā anjām burā hotā hai
un ko samjhā do bure kaam se pahle pahle
shukriya aap ke aane kā ayādat ko mirī
dard kam ho gayā ārām se pahle pahle
aaj mai-ḳhāne meñ jab ḳhauf-e-ḳhudā yaad aayā
haath tharrāne lage jaam se pahle pahle
adl-o-insāf kī azmat ko bachāne ke liye
sar ko kaTvā diyā ilzām se pahle pahle
ye bhī mumkin thā mirī maut bhī Tal saktī thī
aap aa jaate agar shaam se pahle pahle
jab zabāñ kholī to is shaan se kholī 'ārif'
naam terā liyā har naam se pahle pahle
Top Urdushayar.com