badal ke ham ne tarīqa ḳhat-o-kitābat kā
chhupā liyā hai zamāne se raaz ulfat kā
purānā zaḳhm nayā ho gayā to kyā hogā
na pheñko tiir hamārī taraf ko nafrat kā
bahār aa.ī thī chehre pe chaar din ke liye
nasha hai aaj bhī ā.ankhoñ meñ us latāfat kā
kabhī to aao hamāre ġharīb-ḳhāne par
hameñ bhī dījiyo mauqa.a janāb ḳhidmat kā
bahut sambhāl ke rakhnā use hifāzat se
khilaunā TuuT na jaa.e mirī mohabbat kā
ye musht-e-ḳhāk jo insān kī haqīqat hai
tamāshā dekh rahā huuñ maiñ is kī fitrat kā
hamāre zarf ko nazroñ se tol kar 'ārif'
uThā rahā hai vo tūfān ik qayāmat kā