jhaTak ke chal nahīñ saktā huuñ tere dhyān ko maiñ
uThā.e phirtā huuñ sar par ik āsmān ko maiñ
maiñ tujh se apnā ta.alluq chhupā nahīñ saktā
jabīñ se kaise miTā duuñ tire nishān ko maiñ
ye log mujh se udāsī kī vaj.h pūchhte haiñ
batā chukā huuñ tirā naam ik jahān ko maiñ
jo ahd kar ke har ik ahd toḌ Dāltā hai
zabān dūñgā bhalā aise be-zabān ko maiñ
maiñ fat.h kar ke koī qil.a kyā karūñgā 'salīm'
lo aaj toḌtā huuñ tiir ko kamān ko maiñ