ye kis ko jaag jaag ke tāroñ kī chhāñv meñ
ham māñgte haiñ pichhle pahar kī duāoñ meñ
kirneñ abhī to gum haiñ ghanerī ghaTāoñ meñ
bah jā.eñgī ghaTā.eñ ki kirneñ havāoñ meñ
jannat ko duur duur to DhūñDā gayā magar
qadmoñ tale na maañ ke na teġhoñ kī chhāñv meñ
ḳhushkī ke rahbaroñ se to ye bhī na ho sakā
kuchh to ḳhudā kā naam chalā nā-ḳhudāoñ meñ
yā-rab qafas hai yā ki chaman kyā hai ye jahāñ
uljhe paḌe haiñ phuul kaTīlī laTāoñ meñ
dīvāna mast-hāl hai us ko ḳhabar kahāñ
jhāñjhan paḌī huī hai ki zanjīr paañv meñ
donoñ ko apne des kī miTTī pe naaz hai
sāñpoñ kī bāñbiyāñ bhī haiñ phūloñ ke gaañv meñ
sab chal paḌeñ jo ḳhuld ko jaatī ho koī raah
gul-mohr kī do-rūya qatāroñ kī chhāñv meñ
ham shaiḳh se ye kah ke sū-e-dair chal diye
rakhiyegā yaad ham ko bhī apnī duāoñ meñ