kyā raushnī-e-husn-e-sabīh anjuman meñ hai
fānūs meñ hai sham.a ki tan pairahan meñ hai
bhaḌkātī hai junūñ ko gul-o-lāla kī bahār
ik aag sī lagī huī saare chaman meñ hai
purze samajh ke jāma-e-tan ke uḌā junūñ
vo jāma-zeb bhī to usī pairahan meñ hai
sūkhe shajar hare jo hue phir to kyā huā
nāsūr-e-nau hamāre bhī zaḳhm-e-kuhan meñ hai
bazm-e-ḳhayāl-e-yār meñ ġhairoñ kā kyā guzar
ḳhalvat jo chāhiye vo usī anjuman meñ hai
taqdīr-e-reg-e-shīsha-e-sā.at milī mujhe
kulfat safar kī raat din apne vatan meñ hai
bulbul kī ḳhush-navā.ī kā baa.is hai ishq-e-gul
dil meñ jo dard hai to maza bhī suḳhan meñ hai
rañg-e-ḳhizāñ bhī jis kā hai rashk-e-bahār-e-abr
vo kisht za.afarāñ kī hamāre vatan meñ hai