zindagī ik aag hai vo aag jalnā chāhiye
be-hisī ik barf hai is ko pighalnā chāhiye
maut bhī hai zindagī aur maut se Darnā fuzūl
maut se āñkheñ milā kar muskurānā chāhiye
valvale tūfān-o-āñdhī barq-o-bārāñ zalzale
in na.e sāñchoñ meñ ham ko aaj Dhalnā chāhiye
bhuuk bekārī ke shikve un se karnā hai fuzūl
un ke aage taan kar siina nikalnā chāhiye
ne diyā hai aur na deñge ye masā.ib kā javāb
ab hameñ taqdīr apnī ḳhud badalnā chāhiye
ho galī kūche meñ charchā baat ye kaafī nahīñ
dushmanoñ ke paañv kī dhartī dahalnā chāhiye