Ehsan Jafri

tum achchhe masiha ho dawa kyun nahin dete

Ehsan Jafri

Burhanpur, Madhya Pradesh, India

1929-2002
tum achchhe masīhā ho davā kyuuñ nahīñ dete
be-nūr jo hai sham.a bujhā kyuuñ nahīñ dete
be-nām huuñ be-nañg huuñ zāhir to hai tum par
gar rabt nahīñ dil se bhulā kyuuñ nahīñ dete
ḳhushbū kī tarah phuul kī uTThūñgā chaman se
to phuul ko zulfoñ se girā kyuuñ nahīñ dete
pahuñchūñgā kashākash meñ jahāñ tum ne bulāyā
tum hashr ke maidāñ se sadā kyuuñ nahīñ dete
mahfil meñ agar raunaq-e-mahfil hai koī aur
ye baat bhī mahfil ko batā kyuuñ nahīñ dete
ik buuñd sī larzāñ hai sar-e-chashm-e-tamannā
nāyāb nahīñ aab girā kyuuñ nahīñ dete
nā-karda gunāhoñ kī sazā maut milī hai
phir karda-gunāhoñ kī sazā kyuuñ nahīñ dete
zaḳhmoñ ko mire dil pe agar dekh liyā hai
dāman se vafāoñ kī havā kyuuñ nahīñ dete
dekhā thā kabhī ham ne mohabbat kā janāza
baaqī hai agar kuchh to dikhā kyuuñ nahīñ dete
har lamha hamārā hī fasāna hai zabāñ par
ham kuchh bhī nahīñ haiñ to bhalā kyuuñ nahīñ dete
kar leñge har ik manzil-e-dushvār ko sar ham
ik jaam mohabbat kā pilā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com