Suraj Narayan

aankh lag jati hai phir bhi jagta rahta hun main

Suraj Narayan

1946
aañkh lag jaatī hai phir bhī jāgtā rahtā huuñ maiñ
niiñd ke aalam meñ kyā kyā sochtā rahtā huuñ maiñ
tairtī rahtī haiñ mere ḳhuuñ meñ ġham kī kirchiyāñ
kāñch kī sūrat badan meñ TūTtā rahtā huuñ maiñ
saañp ke mānind kyuuñ Dastī hai bāhar kī fazā
kyuuñ hisār-e-jism meñ mahbūs sā rahtā huuñ maiñ
pheñktā rahtā hai patthar kaun dil kī jhiil meñ
dā.era-dar-dā.era kyuuñ phailtā rahtā huuñ maiñ
Tahniyāñ kaT kaT ke ug aatī haiñ phir se dard kī
ik sanobar karb kā ban kar harā rahtā huuñ maiñ
is se baḌh kar aur kyā hotī pareshānī mujhe
ye sitam kam hai ki ḳhud se bhī judā rahtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com