hamāre haal kī jā kar unheñ ḳhabar to kareñ
vo kyuuñ na ā.eñge tadbīr chāra-gar to kareñ
kareñge arz bhī kuchh chain le zarā ai dil
vo anjuman meñ hamārī taraf nazar to kareñ
bahut se tishna-e-dīdār roz jā baiTheñ
magar kabhī vo sar-e-rahguzar guzar to kareñ
jalā de sham.a kī mānind tū mujhe ai ishq
ki aur log zarā tujh se al-hazar to kareñ
ham un se zikr nahīñ karte bazm-e-a.adā kā
ki zikr vo hai ye manzūr ho jo shar to kareñ