Suraj Narayan

main din ko raat ke dariya mein jab utar aaya

Suraj Narayan

1946
maiñ din ko raat ke dariyā meñ jab utaar aayā
mujhe zamīn kī gardish pe e'tibār aayā
maiñ kaun kaun se hisse meñ raushnī likkhūñ
ki ab to saarā ilāqa pas-e-ġhubār aayā
jo kar rahā thā barābar nasīhateñ mujh ko
vo ek daav meñ saarī hayāt haar aayā
dayār-e-ishq meñ ḳhairāt jab milī mujh ko
mire nasīb kī jholī meñ intizār aayā
shab-e-firāq ke lamhe the itne tūlānī
maiñ ek raat meñ sadiyāñ ka.ī guzār aayā
nikal sakā na dukhoñ ke hisār se bāhar
tamām ziist isī ḳhol meñ guzār aayā
havā ke paañv to shal ho ga.e the raste meñ
ye kaun pattoñ meñ sargoshiyāñ ubhār aayā
Top Urdushayar.com