Suraj Narayan

na koi nilam na koi hira na motiyon ki bahaar dekhi

Suraj Narayan

1946
na koī nīlam na koī hiirā na motiyoñ kī bahār dekhī
samundaroñ kī tahoñ meñ utrā to pattharoñ kī qatār dekhī
maiñ apne gulshan meñ mausamoñ ke azaab gin gin ke thak gayā huuñ
maiñ kaise kah duuñ bahār aa.ī maiñ kaise kah duuñ bahār dekhī
maiñ ġham kā sahrā ubuur karne ke ba.ad ḳhud se bichhaḌ gayā huuñ
ajiib rāh-e-najāt niklī ajiib rāh-e-farār dekhī
havā kā dāman lahū lahū thā fazā ke andar ghuTan ghuTan thī
gulāl miTTī meñ ret uḌtī huī sar-e-rahguzār dekhī
Top Urdushayar.com