yaad hai ik ek lamhe kā khichāo dekhnā
raat ke qulzum meñ sadiyoñ kā bahāo dekhnā
vaqt se pahle na phaT jaa.e ġhubāra zehn kā
phailne vaale ḳhayāloñ kā dabāo dekhnā
vo to kho baiThā hai pahle hī se apnī raushnī
is diye ko duur hī se ai havāo dekhnā
kuchh to hoñ mahsūs tum ko zindagī kī uljhaneñ
shahriyoñ ḳhāna-ba-doshoñ ke paḌāv dekhnā
varna do TukḌoñ meñ baT jā.egī us kī zindagī
hai zarūrat kitnā dhāge ko khichāo dekhnā
phir havā se ruuTh kar kholā hai tū ne bādbāñ
phir ġhalat ruḳh par na bah jaa.e ye naav dekhnā