Suraj Narayan

Dalta adl ki jholi mein syahi kaise

Suraj Narayan

1946
Dāltā adl kī jholī meñ syāhī kaise
māñgtā mujh se koī jhūTī gavāhī kaise
kyā tire jism pe TuuTī hai qayāmat koī
daf.atan aaj mirī ruuh karāhī kaise
jab har ik dard kī zanjīr ko kaT jaanā hai
phir tirā dard huā lā-matanāhī kaise
kitnā be-Dhañg tanāsub hai mahāz-e-ġham par
itne lashkar se laḌe ek sipāhī kaise
jī rahā huuñ maiñ ġhulāmoñ kā havāla ban kar
merī pahchān bane masnad-e-shāhī kaise
kis havāle se thā mausam kā sitam peḌoñ par
duur tak phail ga.ī zard tabāhī kaise
Top Urdushayar.com