Rasheed Kausar Farooqi

tarh-e-kashan jise hijran-e-yar kahte hain

Rasheed Kausar Farooqi

tarh-e-kashāñ jise hijrān-e-yār kahte haiñ
ham us ko vasl hamesha bahār kahte haiñ
ravā-ravī meñ jo ḳhāka sā khiñch gayā thā kabhī
use bhī motaqidāñ shāh-kār kahte haiñ
vo mohmalāt se nukte nikāl saktā hai
ise fatānat-e-anqā shikār kahte haiñ
nahīñ haiñ san.at-e-zul-vaj.hatain ke qaa.el
ki harf-e-haq ho to ham āshkār kahte haiñ
bahār naam hai tahzīb-e-mausam-e-dil kā
avaam mausam-e-gul ko bahār kahte haiñ
unhīñ se pūchh ki ye isti.āra kis se hai
nafas ko jo nafs-e-musta.ār kahte haiñ
vafā na kar to hamārī vafā kī daad hī de
tire firāq ko ham intizār kahte haiñ
yahīñ talak jo mire saath aa ke lauT ga.e
vo sañg-e-mīl ko sañg-e-mazār kahte haiñ
kinār-e-yār vahāñ se bas ik shalañg pe hai
vo jis ko kaj-kulahāñ auj-dār kahte haiñ
Top Urdushayar.com