badalte vaqt kī raftār kyā hai
mohabbat ab tirā kirdār kyā hai
zamīñ ko chhū rahā hai āsmāñ ab
talab kī raah meñ paikār kyā hai
kaTā kar sar bhī martā hī nahīñ vaqt
havā ke haath meñ talvār kyā hai
bhulā baiThā huuñ maiñ ḳhud ko bhī logo
mire kāñdhoñ pe ab ye baar kyā hai
azal se hai mirī fitrat meñ jhuknā
to phir sajdoñ se mujh ko aar kyā hai
anal-haq se abhī vāqif nahīñ maiñ
mujhe ma.alūm kab hai daar kyā hai
mujhe hai faḳhr maiñ ḳhākī huuñ merī
nazar meñ nuur kyā hai taar kyā hai
sabā se pūchhtā phirtā huuñ 'aiman'
vafā meñ phuul kyā hai ḳhaar kyā hai