Mamun Aiman

marne ke liye shauq se jina kya hai

Mamun Aiman

1941
marne ke liye shauq se jiinā kyā hai
kyā kahiye zamāne se ki duniyā kyā hai
ai kaash koī raaz batā de mujh ko
ḳhāliq ne mire baare meñ likkhā kyā hai
vijdān bhī bebas hai talab ke hāthoñ
kyā shai hai burī dahr meñ achchhā kyā hai
kis ḳhvāb kī rāhoñ meñ bhaTaktā hai dil
gum-gashta nigāhoñ meñ sarāpā kyā hai
jhoñke ne badal Daalā hai ḳhushbū kā chalan
ik phuul ne ik ḳhaar ko chūmā kyā hai
qadmoñ se lipaTtī hai sarāboñ kī gard
rasta kisī manzil kā taqāzā kyā hai
dīvār ko to puuj rahā hai sūraj
dar vā hai magar dar meñ huvaidā kyā hai
jazbāt ko bhātā nahīñ koī mausam
ehsās ke har moḌ meñ saudā kyā hai
har qurb kī taqdīr meñ duurī kaisī
bastī ke muqaddar meñ ye sahrā kyā hai
poshīda bhalā kyā hai talab se 'aiman'
ummīd kī tahdārī se ifshā kyā hai
Top Urdushayar.com