ye sanam rivāyat-o-naql ke hubal-o-manāt se kam nahīñ
terā fikr vā.iz-e-haq-navā kisī somnāt se kam nahīñ
kahīñ barq chamke maiñ jal uThūñ koī taarā TuuTe maiñ ro paḌūñ
ye dil-e-sitam-zada ham-nashīñ dil-e-kā.enāt se kam nahīñ
kahīñ rañg-o-nūr-e-jamāl hai kahīñ bīm-o-fikr-e-ma.āl hai
kahīñ shaam ġhairat-e-sub.h hai kahīñ din bhī raat se kam nahīñ
jise kahiye raqs-e-sharār-e-ġham vo agar ho shāmil-e-ġham to phir
ġham-e-dil ho yā ġham-e-zindagī ġham-e-kā.enāt se kam nahīñ
ye surūr 'aḳhtar'-e-dil-zada rajaz-e-bahār-o-shabāb hai
ye buland hotī huī fuġhāñ alam-e-hayāt se kam nahīñ