mohabbat hai aziyyat hai hujūm-e-yās-o-hasrat hai
javānī aur itnī dukh bharī kaisī qayāmat hai
vo maazī jo hai ik majmua ashkoñ aur aahoñ kā
na jaane mujh ko is maazī se kyuuñ itnī mohabbat hai
lab-e-dariyā mujhe lahroñ se yūñhī chahal karne do
ki ab dil ko isī ik shuġhl-e-be-ma.anī meñ rāhat hai
tirā afsāna ai afsāna-ḳhvāñ rañgīñ sahī mumkin
mujhe rūdād-e-ishrat sun ke ro dene kī aadat hai
koī ro.e to maiñ be-vaj.h ḳhud bhī rone lagtā huuñ
ab 'aḳhtar' chāhe tum kuchh bhī kaho ye merī fitrat hai