Akhtar Ansari

bahaar-e-fikr ke jalwe luTa diye humne

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
bahār-e-fikr ke jalve luTā diye ham ne
junūn-e-ishq ke dariyā bahā diye ham ne
faroġh-e-dānish-o-burhāñ ke sho.ale bhaḌkā kar
tavahhumāt ke ḳhirman jalā diye ham ne
girā ke dark-o-basīrat kī bijliyāñ paiham
ta.assubāt ke TukḌe uḌā liye ham ne
banā ke fikr-o-tadabbur ko ḳhādim-e-insāñ
muqaddarāt ke chhakke chhuḌā diye ham ne
shu.ūr-e-naqd kī sehat-pasandiyoñ kī qasam
aqīdatoñ ke parḳhache uḌā diye ham ne
miTā ke tafarqa-e-ḳhās-o-ām kī la.anat
huqūq-e-ḳhās Thikāne lagā diye ham ne
fatādgān-e-zamīñ kā buland kar ke alam
falak-nashīnoñ ke parcham jhukā diye ham ne
na.e shu.ūr se zehnoñ meñ bijliyāñ bhar diiñ
na.ī umañgoñ se dil jagmagā diye ham ne
gumāñ hayāt pe hotā hai giit kī lai kā
kuchh aise giit jahāñ ko sunā diye ham ne
tilism toḌ ke jhūTī haqīqatoñ ke tamām
ajā.ibāt ke jaadū jagā diye ham ne
varā-e-charḳh the ābād jis qadar firdaus
zamīñ kī sat.h pe lā kar basā diye ham ne
banā ke mehnat-e-insāñ ko ek qadr-e-buland
zamīñ pe chāñd sitāre bichhā diye ham ne
jalā ke azmat-e-ādam kī sham-e-derīna
charāġh dair-o-haram ke bujhā diye ham ne
jo dark rakhte haiñ aḳhtar vo samjheñ aur batā.eñ
ye kis sharāb ke sāġhar luñDhā diye ham ne
Top Urdushayar.com