Akhtar Ansari

kisi se laDaen nazar aur jhelen mohabbat ke gham itni fursat kahan

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
kisī se laḌā.eñ nazar aur jheleñ mohabbat ke ġham itnī fursat kahāñ
uThā.eñ kisī māh-paikar hasīna ke jaur-o-sitam itnī fursat kahāñ
zamāne kī be-rahmiyoñ ke tasadduq dimāġh-e-nashāt-o-alam hī nahīñ
dil apnā kare ārzu-e-jafā yā umīd-e-karam itnī fursat kahāñ
Dubo deñ mai-e-nāb kī mastiyoñ meñ falākat ke nakbat ke ehsās ko
banā leñ kisī āmiyāna se kuuze hī ko jām-e-jam itnī fursat kahāñ
hoñ āzād-e-afkār lekin tafakkur meñ Duube hue se raheñ raat din
tabī.at kī be-vaj.h afsurdagī ke maze lūTeñ ham itnī fursat kahāñ
na maazī hamārā na mustaqbil apnā kuchh is taur se harf-e-imroz haiñ
ġham-e-dosh yā fikr-e-fardā meñ 'aḳhtar' kareñ sar ko ḳham itnī fursat kahāñ
Top Urdushayar.com