Akhtar Ansari

saf zahir hai nigahon se ki hum marte hain

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
saaf zāhir hai nigāhoñ se ki ham marte haiñ
muñh se kahte hue ye baat magar Darte haiñ
ek tasvīr-e-mohabbat hai javānī goyā
jis meñ rañgoñ ke evaz ḳhūn-e-jigar bharte haiñ
ishrat-e-rafta ne jā kar na kiyā yaad hameñ
ishrat-e-rafta ko ham yaad kiyā karte haiñ
āsmāñ se kabhī dekhī na ga.ī apnī ḳhushī
ab ye hālat hai ki ham hañste hue Darte haiñ
sher kahte ho bahut ḳhuub tum 'aḳhtar' lekin
achchhe shā.ir ye sunā hai ki javāñ marte haiñ
Top Urdushayar.com