Akhtar Ansari

jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
jāñ-sapārī ke bhī armāñ zindagī kī aas bhī
hifz-e-nāmūs-e-alam bhī nīsh-e-ġham kā paas bhī
ḳhaak dar-bar hī sahī maiñ ḳhaak bhī vo ḳhaak hai
jis meñ mere zaḳhm-e-dil kī bū bhī hai aur baas bhī
kitne daur-e-charḳh un āñkhoñ ne dekhe kuchh na pūchh
miT chukā hai vaqt kī raftār kā ehsās bhī
haa.e vo ik nashtar-āgīñ neshtar-afroz yaad
jis ke aage hech apnī burrish-e-infās bhī
ham na the kuchh ḳhud hī us saude pe raazī varna yuuñ
raas aane ko ye duniyā aa hī jaatī raas bhī
ḳhud ko ai dil yās-e-kāmil ke havāle yuuñ na kar
jhāñktī hai zehn ke ġhurfe se koī aas bhī
kaun us vaadī se uchhlā tā-sar-e-arsh-e-barīñ
gum haiñ jis vaadī meñ 'aḳhtar' ḳhizr bhī ilyās bhī
Top Urdushayar.com