Rasheed Kausar Farooqi

rok de usko bhala kis ki majal aata hai

Rasheed Kausar Farooqi

rok de us ko bhalā kis kī majāl aatā hai
har taraqqī ke ta.āqub meñ zavāl aatā hai
larza-añgez sahī tamkanat-e-taḳht-e-shahī
lek jab arsh-e-mua.allā ko jalāl aatā hai
ek dil pyaar bharā sab ke liye laayā huuñ
na mujhe aur koī fan na kamāl aatā hai
maiñ ne murshid se duā chāhī to hañs kar ye kahā
pyaar ghar chhoḌ ke jaatā hai jo maal aatā hai
jab ye uftād paḌī mujh pe samajh meñ aayā
ek shīshe kī tarah dil meñ bhī baal aatā hai
naag kā zahr bhī shīrīñ hai zarā yaad rahe
sar-e-mimbar koī nau-shīnā maqāl aatā hai
dekhte jā.iye sāme.a nazar aane ke nahīñ
anjuman meñ vo koī ḳhair-sagāl aatā hai
sitam ījād na kar ai sitam-ījād bahut
tere sar kitnī hī nasloñ kā vabāl aatā hai
donoñ paidā to khanaktī huī miTTī se hue
taal par tum ko mujhe qaal pe haal aatā hai
dil to phir dil hai miyāñ zehn bhī qaabū meñ kahāñ
jis ko chāho ki na aa.e vo ḳhayāl aatā hai
ab to panghaT kī vo doshīza talāsho jis ko
na bhar aatā hai na mashkīza sambhāl aatā hai
ik majānīn kī duniyā hai ye jādū-nagrī
bas ye dekho ki kise sehr-e-halāl aatā hai
ḳhud-farebī to haiñ mushtāq ki is dast meñ kab
āsmāñ rañg-e-fusūñ-sāz-e-shaġhāl aatā hai
muntazir baiThe haiñ ham bhī ki pa.e dād-e-ġhazal
zaiġham aatā hai koī koī ġhazāl aatā hai
hañsne vaale kahīñ kuchh soch ke rone na lageñ
bazm meñ 'kausar'-e-āshufta-ḳhayāl aatā hai
Top Urdushayar.com