phuul sūñghe jaane kyā yaad aa gayā
dil ajab andāz se lahrā gayā
us se pūchhe koī chāhat ke maze
jis ne chāhā aur jo chāhā gayā
ek lamha ban ke aish-e-jāvedāñ
merī saarī zindagī par chhā gayā
ġhuncha-e-dil haa.e kaisā ġhuncha thā
jo khilā aur khilte hī murjhā gayā
ro rahā huuñ mausam-e-gul dekh kar
maiñ samajhtā thā mujhe sabr aa gayā
ye havā ye barg-e-gul kā ehtizāz
aaj maiñ rāz-e-musarrat pā gayā
'aḳhtar' ab barsāt ruḳhsat ho ga.ī
ab hamārā raat kā ronā gayā