dil-e-fasurda meñ kuchh soz o saaz baaqī hai
vo aag bujh ga.ī lekin gudāz baaqī hai
niyāz-kesh bhī merī tarah na ho koī
umiid mar chukī zauq-e-niyāz baaqī hai
vo ibtidā-e-mohabbat kī lazzateñ vallāh
ki ab bhī ruuh meñ ik ehtizāz baaqī hai
na sāz-e-dil hai ab 'aḳhtar' na husn kī mizrāb
magar vo fitrat-e-naġhmā-navāz baaqī hai