Akhtar Ansari

sada kuchh aisi mere gosh-e-dil mein aati hai

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
sadā kuchh aisī mire gosh-e-dil meñ aatī hai
koī binā-e-kuhan jaise laḌkhaḌātī hai
rachā huā hai fazāoñ meñ ek athāh hirās
dimāġh shal hai magar ruuh sansanātī hai
mujhe yaqīn hai āñdhī koī uThī hai kahīñ
ki lau charāġh-e-shabistāñ kī thartharātī hai
umiid yaas ke gahre ḳhamosh jañgal meñ
havā-e-shām kī mānind sarsarātī hai
savāl hai ġham-e-hastī ke biit jaane kā
ye zindagī to bahar-hāl biit jaatī hai
ḳhayāl-e-umr-e-guzishta zarā tavaqquf kar
zamīn qadmoñ ke nīche se niklī jaatī hai
maiñ apnī aag meñ jal kar kabhī kā ḳhaak huā
ye zindagī mujhe kyā ḳhaak meñ milātī hai
nishāna-bāz falak tere nāvakoñ kī ḳhair
ki jin kī zad pe mire hausloñ kī chhātī hai
lachak hī jaatī hai shāḳh apne āshiyāñ kī bhī
chaman meñ gaatī huī jab bahār aatī hai
fuġhān-e-dard laboñ par na aa.iyo zinhār
mirī salīqa-shi.ārī pe baat aatī hai
idhar ye girya-e-abr aur udhar vo ḳhanda-e-barq
mizāj-e-dahr mire dost tanziyātī hai
rahīn-e-rasm-o-rivāyat ho jis kī but-shikanī
vo but-shikan bhī haqīqat meñ somnātī hai
bapā hai shor-e-qayāmat dimāġh meñ 'aḳhtar'
zabān-e-ḳhāma magar zamzame luTātī hai
Top Urdushayar.com