tab.a ishrat-pasand rakhtā huuñ
ik dil-e-dardmand rakhtā huuñ
bahut kahtā nahīñ maiñ pastī ko
apnī fitrat buland rakhtā huuñ
chashm-e-bātin se dekhtā huuñ maiñ
chashm-e-zāhir ko band rakhtā huuñ
lafz shīrīñ haiñ aur ma.anī talḳh
zahr-āmez qand rakhtā huuñ
kāmyābī muhāl hai 'aḳhtar'
zauq itnā buland rakhtā huuñ