sunā ke apne aish-e-tām kī rūdād ke TukḌe
uḌā dūñgā kisī din charḳh kī bedād ke TukḌe
asīrī ko atā kar ke asīrī kā sharaf ham ne
uḌā Daale ḳhud apnī fitrat-e-āzād ke TukḌe
kahāñ kā aadmī insān kaisā mā-hasal ye hai
kahīñ ashḳhās ke purze kahīñ afrād ke TukḌe
tabāhī ke mazoñ se bhī ga.e ab vā.e-mahrūmī
sameTūñgā kahāñ tak hasrat-e-barbād ke TukḌe
ye siina talḳh yādoñ kā ḳhazīna hī sahī lekin
bahut chubhte haiñ dil meñ ik nukīlī yaad ke TukḌe
tum achchhe hī sahī merā burā honā bhī hai bar-haq
ki ham sab haiñ kisī majmūa-e-azdād ke TukḌe
hameñ laḳht-e-jigar khāne ko hargiz kam na thā 'aḳhtar'
magar qismat meñ likkhe the jahānābād ke TukḌe