Akhtar Ansari

gham-zada hain mubtala-e-dard hain nashad hain

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
ġham-zada haiñ mubtalā-e-dard haiñ nāshād haiñ
ham kisī afsāna-e-ġhamnāk ke afrād haiñ
gardish-e-aflāk ke hāthoñ bahut barbād haiñ
ham lab-e-ayyām par ik dukh bharī fariyād haiñ
hāfize par ishratoñ ke naqsh baaqī haiñ abhī
tū ne jo sadme sahe ai dil tujhe bhī yaad haiñ
raat bhar kahte haiñ taare dil se rūdād-e-shabāb
in ko merī vo shabāb-afroz rāteñ yaad haiñ
aḳhtar'-e-nā-shād kī parchhā.īñ se bachte raheñ
jo zamāne meñ shagufta-ḳhātir o dil-e-shād haiñ
Top Urdushayar.com