himmat-e-ālī kā itnā to ziyāñ honā hī thā
jurm-e-gīhāñ-tāb ko be-ḳhānumāñ honā hī thā
ye to ai mātam-kanān-e-kushtagāñ honā hī thā
un muhim-jūyāñ ko ik din jāvedāñ honā hī thā
mar ke bhī yādoñ meñ jiinā chāhtā hai aadmī
aadmī kī zindagī ko imtihāñ honā hī thā
qismat qāmūsiyāñ har ahd meñ sar-gashtagī
tab to ummī.īn ko āḳhir zabāñ honā hī thā
shāhid-e-mahmil hai itnī qurbateñ ye dūriyāñ
haa.e vo jis kā muqaddar sārbāñ honā hī thā
sauñp kar miTTī ko miTTī lī havā ne apnī raah
mashġhala thā ḳhaak se dāman-fashāñ honā hī thā