Akhtar Ansari

har waqt nauha-KHwan si rahti hain meri aankhen

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
har vaqt nauha-ḳhvāñ sī rahtī haiñ merī āñkheñ
ik dukh bharī kahānī kahtī haiñ merī āñkheñ
jazbāt-e-dil kī shiddat sahtī haiñ merī āñkheñ
gul-rañg aur shafaq-gūñ rahtī haiñ merī āñkheñ
aish o tarab ke jalse dard o alam ke manzar
kyā kuchh na ham ne dekhā kahtī haiñ merī āñkheñ
jab se dil o jigar kī hamdard ban ga.ī haiñ
ġhamgīniyoñ meñ Duubī rahtī haiñ merī āñkheñ
labrez ho ke dil kā sāġhar chhalak uThā hai
shāyad isī sabab se bahtī haiñ merī āñkheñ
har jumbish-e-nazar hai rūdād-e-ishq 'aḳhtar'
haiñ be-zabāñ magar kuchh kahtī haiñ merī āñkheñ
Top Urdushayar.com