Akhtar Ansari

bahaar aai zamana hua KHarabaati

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
bahār aa.ī zamāna huā ḳharābātī
hamāre dil meñ bhī ik lahr kaash aa jaatī
havā bhī sard hai bhīgī hai raat bhī lekin
sulag rahī hai kisī aag se mirī chhātī
mire paḌos meñ ye zikr hai ka.ī din se
sadā jo aatī thī rone kī ab nahīñ aatī
lagā ke siine se shādābiyoñ ko so jaatā
mujhe bahār-e-javānī meñ maut aa jaatī
bajā rahā hai koī raat meñ sitār 'aḳhtar'
dhaḌak rahī hai mirī ārzūoñ kī chhātī
Top Urdushayar.com