charḳh kī sa.ī-e-jafā koshish nākāra hai
gardish-e-dahr yahāñ jumbish-e-gahvāra hai
chāñd tāroñ ke talātum se ye aatā hai ḳhayāl
dil-e-vahshī koī tūfāñ-zada sayyāra hai
bah ga.e dīda-e-nam-nāk se dariyā lekin
dil vahī ek dahaktā huā añgāra hai
dil huā soz-e-jahannam meñ giraftār magar
ruuh ab bhī kisī firdaus meñ āvāra hai
kaisī taqdīr kī gardish ġham-e-dil ko maiñ ne
gardish-e-gumbad-e-aflāk pe de maarā hai
mere sheroñ se ta.arruz na kar ai nāqid-e-fan
merī barbādī-e-dil hī mirā shah-pārā hai
bahjat-e-fikr pe qādir huuñ maiñ jab tak 'aḳhtar'
mujhe sarmāya-e-andoh bahut pyārā hai