Akhtar Ansari

tera aasman nawakon ka KHazina hayat-afrina hayat-afrina

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
tirā āsmāñ nāvakoñ kā ḳhazīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
hamārī zamīñ la.al-o-gul kā dafīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
hue naam aur nañg sab ġharq-e-sahbā mirī mai-gusārī kī hogī sazā kyā
tire naam kā ek jur.a yahī nā hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
tire va.ada-e-rizq kī hai duhā.ī agar rizq āzūqa-e-rūh bhī hai
to ham to haiñ mahrūm-e-nān-e-shabīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
na sāñsoñ meñ josh-e-numū kā talātum na marne ke ġham meñ gudāz-e-ta.allum
ye jiinā bhī hai koī jiine meñ jiinā hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
zamīñ kā kaleja bahut phuñk rahā hai falak phaT paḌe qulzum-e-ḳhūñ ravāñ ho
jabīn-e-mashiyyat se Tapke pasīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulāre tirī mumlikat ke hasīñ shāhzāde
hamārī zamīñ kā.enātī hasīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
nahīñ 'aḳhtar'-e-zār māyūs ḳhud se ki zulmat bhī chhaTtī hai darja-ba-darja
utartī hai rahmat bhī zīna-ba-zīna hayāt-āfrīnā hayāt-āfrīnā
Top Urdushayar.com