apnī bahār pe hañsne vaalo kitne chaman ḳhāshāk hue
apne rafū ko ginñe vaalo kitne garebāñ chaak hue
dīvānoñ ko kaun batā.e aaj kī rasm aur aaj kī baat
is ne unhīñ kī samt nazar kī ishq meñ jo bebāk hue
sho.abada-e-yak tarz-e-karam hai kaisī sazā aur kaisī jazā
mauj-e-tabassum jab lahrā.ī tar-dāman bhī paak hue
ruḳh dekhā jis samt havā kā us jānib muñh kar ke chale
dasht-e-junūñ ke dīvāne bhī misl-e-sabā chālāk hue
ḳhāk-e-nasheman jab uḌtī hai dil se dhuāñ sā uThtā hai
hādse is gulzār meñ varna aur bahut ġhamnāk hue
dekhte dekhte duniyā badlī gulshan kyā vīrāna kyā
parbat parbat naqsh the jin ke miTte miTte ḳhaak hue
jān-e-chaman jo gul the 'aḳhtar' vo to hue ma.atūb o zalīl
zeb-e-gulistāñ raunaq-e-gulshan kal ke ḳhas-o-ḳhāshāk hue