Akhtar Ansari

mohabbat karne walon ke bahaar-afroz sinon mein

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
mohabbat karne vāloñ ke bahār-afroz sīnoñ meñ
rahā kartī hai shādābī ḳhizāñ ke bhī mahīnoñ meñ
ziyā-e-mehr āñkhoñ meñ hai tauba mah-jabīnoñ ke
ki fitrat ne bharā hai husn ḳhud apnā hasīnoñ meñ
havā-e-tund hai girdāb hai pur-shor dhārā hai
liye jaate haiñ zauq-e-āfiyat sī shai safīnoñ meñ
maiñ hañstā huuñ magar ai dost aksar hañste hue bhī
chhupā.e hote haiñ daaġh aur nāsūr apne sīnoñ meñ
maiñ un meñ huuñ jo ho kar āstān-e-dost se mahrūm
liye phirte haiñ sajdoñ kī taḌap apnī jabīnoñ meñ
mirī ġhazleñ paḌheñ sab ahl-e-dil aur mast ho jaa.eñ
mai-e-jazbāt laayā huuñ maiñ lafzī ābgīnoñ meñ
Top Urdushayar.com