Akhtar Ansari

lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
lutf le le ke piye haiñ qadah-e-ġham kyā kyā
ham ne firdaus banā.e haiñ jahannam kyā kyā
āñsuoñ ko bhī piyā jur.a-e-sahbā kī tarah
sāġhar-o-jām bane dīda-e-pur-nam kyā kyā
halqa-e-dām-e-vafā uqda-e-ġham mauj-e-nashāt
ye zamāna bhī dikhātā hai cham-o-ḳham kyā kyā
lazzat-e-hijr kabhī ishrat-e-dīdār kabhī
aarzū ne bhī tabī.at ko diye dam kyā kyā
kis kis andāz se khaTke rag-e-gul ke nashtar
tapish-afroz hue sho.ala-o-shabnam kyā kyā
shām-e-vīrāñ kī udāsī shab-e-tīra kā sukūt
dil-e-mahzūñ ko mile hamdam o mahram kyā kyā
haa.e vo ālam-e-be-nām ki jis aalam meñ
biit jaate haiñ dil-e-zār pe aalim kyā kyā
ismat o rif.at-e-anjum se ḳhayāl aatā hai
ḳhaak meñ roñdī ga.ī hurmat-e-ādam kyā kyā
dab ga.e minnat-e-mazdūr se aivāñ kitne
jhuk ga.e ġhairat-e-maftūh se parcham kyā kiyā
the musallah ġham-e-ma.ashūq se go ham 'aḳhtar'
phir bhī dikhlā.e ġham-e-dahr ne dam-ḳham kyā kyā
Top Urdushayar.com