Akhtar Ansari

aarzu ko ruh mein gham ban ke rahna aa gaya

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
aarzū ko ruuh meñ ġham ban ke rahnā aa gayā
sahte sahte ham ko āḳhir ranj sahnā aa gayā
dil kā ḳhuuñ āñkhoñ meñ khiñch aayā chalo achchhā huā
merī āñkhoñ ko mirā ahvāl kahnā aa gayā
sahl ho jā.egī mushkil zabt soz o saaz kī
ḳhūn-e-dil ko aañkh se jis roz bahnā aa gayā
maiñ kisī se apne dil kī baat kah saktā na thā
ab suḳhan kī aaḌ meñ kyā kuchh na kahnā aa gayā
jab se muñh ko lag ga.ī 'aḳhtar' mohabbat kī sharāb
be-piye āThoñ pahar madhosh rahnā aa gayā
Top Urdushayar.com