apnī ujḌī huī duniyā kī kahānī huuñ maiñ
ek bigḌī huī tasvīr-e-javānī huuñ maiñ
aag ban kar jo kabhī dil meñ nihāñ rahtā thā
aaj duniyā meñ usī ġham kī nishānī huuñ maiñ
haa.e kyā qahr hai marhūm javānī kī yaad
dil se kahtī hai ki ḳhanjar kī ravānī huuñ maiñ
ālam-afroz tapish tere liye laayā huuñ
ai ġham-e-ishq tirā ahd-e-javānī huuñ maiñ
charḳh hai naġhmagar ayyām haiñ naġhme 'aḳhtar'
dāstāñ-go hai ġham-e-dahr kahānī huuñ maiñ