Akhtar Ansari

KHizan mein aag lagao bahaar ke din hain

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
ḳhizāñ meñ aag lagāo bahār ke din haiñ
na.e shagūfe khilāo bahār ke din haiñ
ulaT do taḳhta ḳhizāñ kī tabāh-kārī kā
bisāt-e-aish bichhāo bahār ke din haiñ
ezār-e-gul kī dahak se jalā ke kāñToñ ko
lagī diloñ kī bujhāo bahār ke din haiñ
milā ke qatra-e-shabnam meñ rañg o nik.hat-e-gul
koī sharāb banāo bahār ke din haiñ
bhare kaTore chaman ke ye dars dete haiñ
chhalakte jaam luñDhāo bahār ke din haiñ
ab ehtiyāt-pasandī hai sa.i-e-nā-mashkūr
matā-e-zabt luTāo bahār ke din haiñ
sharār-e-gul se zamāne meñ shole bhaḌkā do
hasīn fitne jagāo bahār ke din haiñ
junūn-e-shauq kī be-e'tidāliyoñ ke ḳhilāf
koī dalīl na laao bahār ke din haiñ
purānī sham.eñ bujhā diiñ sabā ke jhoñkoñ ne
na.e charāġh jalāo bahār ke din haiñ
lachak rahī hai vafūr-e-samar se shāḳh-e-hayāt
ye baar hañs ke uThāo bahār ke din haiñ
Top Urdushayar.com