Akhtar Ansari

hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai

Akhtar Ansari

Badayun, Uttar pradesh, India

1909-1988
hayāt insāñ kī sar tā pā zabāñ mālūm hotī hai
ye duniyā inqilāb-e-āsmāñ mālūm hotī hai
mukaddar hai ḳhizāñ ke ḳhuun se aish-e-bahār-e-gul
ḳhizāñ kī rut bahār-e-be-ḳhizāñ mālūm hotī hai
mujhe nākāmi-e-paiham se māyūsī nahīñ hotī
abhī ummīd merī naujavāñ mālūm hotī hai
koī jab naala kartā hai kaleja thaam letā huuñ
fuġhān-e-ġhair bhī apnī fuġhāñ mālūm hotī hai
ma.āl-e-dard-o-ġham dekho sadā-e-sāz-e-ishrat bhī
utar jaatī hai jab dil meñ fuġhāñ mālūm hotī hai
chaman meñ andalīb-e-zār kī fariyād ai 'aḳhtar'
dil-e-nādāñ ko apnī dāstāñ mālūm hotī hai
Top Urdushayar.com