kise apnā banā.eñ koī is qābil nahīñ miltā
yahāñ patthar bahut milte haiñ lekin dil nahīñ miltā
mohabbat kā sila īsār kā hāsil nahīñ miltā
vo nazreñ bār-hā miltī haiñ lekin dil nahīñ miltā
tumhārā rūThnā tamhīd thī afsāna-e-ġham kī
zamāna ho gayā ham se mizāj-e-dil nahīñ miltā
jahāñ tak dekhtā huuñ maiñ jahāñ tak maiñ ne samjhā hai
koī tere sivā tārīf ke qābil nahīñ miltā
haram kī manzileñ hoñ yā sanam-ḳhāne kī rāheñ hoñ
ḳhudā miltā nahīñ jab tak maqām-e-dil nahīñ miltā
musāfir apnī manzil par pahuñch kar chain paate haiñ
vo maujeñ sar paTaktī haiñ jinheñ sāhil nahīñ miltā
ham apnā ġham liye baiThe haiñ us bazm-e-tarab meñ bhī
kisī naġhme se ab 'maḳhmūr' sāz-e-dil nahīñ miltā