Makhmoor Dehlvi

KHuda jab tak na chahe aadmi se kuchh nahin hota

Makhmoor Dehlvi

Delhi, India

1901-1956
ḳhudā jab tak na chāhe aadmī se kuchh nahīñ hotā
mujhe ma.alūm hai merī ḳhushī se kuchh nahīñ hotā
mohabbat jazba-e-īsār se parvān chaḌhtī hai
ḳhulūs-e-dil na ho to dostī se kuchh nahīñ hotā
vahāñ terā karam terā bharosa kaam aatā hai
jahāñ majbūr ho kar aadmī se kuchh nahīñ hotā
ziyā-e-shams bhī maujūd hai nūr-e-qamar bhī hai
basīrat hī na ho to raushnī se kuchh nahīñ hotā
ġharaz tere sivā har ek ko majbūr paatā huuñ
bharosa jis pe kartā huuñ usī se kuchh nahīñ hotā
ḳhud apne haal se uljhe hue haiñ tere dīvāne
hañse jaa.e zamāne kī hañsī se kuchh nahīñ hotā
mohabbat bad-gumāñ ho jaa.e to zinda nahīñ rahtī
asar dil par tumhārī be-ruḳhī se kuchh nahīñ hotā
Top Urdushayar.com