Makhmoor Dehlvi

hazar ranj ho dil lakh dard-mand rahe

Makhmoor Dehlvi

Delhi, India

1901-1956
hazār rañj ho dil laakh dard-mañd rahe
ḳhayāl past na ho hausla buland rahe
ġham-e-firāq meñ dil kyuuñ na dard-mañd rahe
bahār aa ke ga.ī ham qafas meñ band rahe
ḳhudā kī yaad meñ duniyā ko bhuul jā ai dil
vo kaam kar ki har ik tarf sūd-mand rahe
mile ki kuchh na mile māñgne se kaam rakhūñ
tirī janāb meñ dast-e-duā buland rahe
dikhā.īñ gardish-e-daurāñ ne sūrateñ kyā kyā
magar mujhe to akele tumhīñ pasand rahe
ġhurūr-e-husn unheñ inkisār-e-sheva-e-ishq
vo be-niyāz rahe ham niyāz-mand rahe
janāb-e-shaiḳh bhī 'maḳhmūr' shab ko rindoñ meñ
ajiib haal se masrūf-e-va.az-o-pand rahe
Top Urdushayar.com