Makhmoor Dehlvi

tum se wabasta hai meri maut meri zindagi

Makhmoor Dehlvi

Delhi, India

1901-1956
tum se vābasta hai merī maut merī zindagī
jism se apne kabhī saaya judā hotā nahīñ
is tarah fariyād karne ko kaleja chāhiye
ab koī gulshan meñ merā ham-navā hotā nahīñ
vo mohabbat-āfrīñ detā hai hasb-e-zarf-e-ishq
phir kisī se bhī talab-gār-e-vafā hotā nahīñ
ik taḳhayyul hai ki jis meñ mahv hai merā dimāġh
ik tasavvur ye jo āñkhoñ se judā hotā nahīñ
sa.ī-e-fahm-e-zāt-e-bārī aur ye mahdūd aql
jis kā hāsil kuchh bhī hairat ke sivā hotā nahīñ
ashraf-ul-maḳhlūq kahte haiñ usī majbūr ko
jis kā koī kaam be-dast-e-duā hotā nahīñ
jitne armāñ dil meñ the 'maḳhmūr' sab maujūd haiñ
ek bhī to apne markaz se judā hotā nahīñ
Top Urdushayar.com