Sibt Ali Saba

jalte jalte bujh gai ek mom-batti raat ko

Sibt Ali Saba

Sialkot, Punjab, Pakistan

1935-1980
jalte jalte bujh ga.ī ik mom-battī raat ko
mar ga.ī fāqa-zadā ma.asūm bachchī raat ko
āñdhiyoñ se kyā bachātī phuul ko kāñToñ kī baaḌ
sehn meñ bikhrī huī thī pattī pattī raat ko
kitnā bosīda durīda pairahan hai zeb-e-tan
vo jo charḳha kāTtī rahtī hai laḌkī raat ko
sehn meñ ik shor sā har aañkh hai hairat-zada
chūḌiyāñ sab toḌ diiñ dulhan ne pahlī raat ko
jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā
maañ ne apne laal kī taḳhtī jalā dī raat ko
vaqt to har ek dar par dastakeñ detā rahā
ek saa.at ke liye jaagī na bastī raat ko
marġh-zār-e-shā.erī meñ gum rahā 'sabt-e-alī'
so ga.ī rah dekhte bīmār biivī raat ko
Top Urdushayar.com