jab koī zaḳhm ubhartā hai kināroñ jaisā
dil taḌaptā hai mirā mauj ke dhāroñ jaisā
jab koī aks chamaktā hai sitāroñ jaisā
merā qad bhī nazar aatā hai mināroñ jaisā
tere hī dar pe mujhe aa ke sukūñ miltā hai
ik sahārā bhī nahīñ tere sahāroñ jaisā
aaj bhī sab ke diloñ pe hai hukūmat jis kī
vo chaTā.ī pe bhī lagtā hai dulāroñ jaisā
mere hī dam se mahaktā hai gulistāñ phir bhī
sab kī āñkhoñ meñ khaTaktā huuñ maiñ ḳhāroñ jaisā
ab to sūkhe hue patte hī nazar aate haiñ
mere āñgan meñ bahut kuchh thā bahāroñ jaisā
aa.ina kaun dikhā.egā mujhe ai 'dildār'
mere dushman kā bhī bartāv hai yāroñ jaisā