maiñ ne jab se chāhat ke jugnuoñ ko paalā hai
zindagī kī vaadī meñ har taraf ujālā hai
har taraf haiñ ḳhushbūeñ har taraf ujālā hai
aaj mere āñgan meñ koī aane vaalā hai
sar-phirī havāoñ se ḳhauf khā nahīñ sakte
jin charāġh-zādoñ ko āñdhiyoñ ne paalā hai
ūñche rutbe vāloñ ko dekhiye to pāmālī
maqbaroñ meñ shāhoñ ke makḌiyoñ kā jaalā hai
aartī utartī hai ahl-e-zar kī phūloñ se
muflisī ke chehre par āñsuoñ kī maalā hai
naaz kyā kare 'dildār' aatī jaatī sāñsoñ par
zindagī jab insāñ kī maut kā nivāla hai