Dildar Hashmi

rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya maine

Dildar Hashmi

ravānī ġham kī jis meñ thī vo jauhar de diyā maiñ ne
ġhazal pyāsī thī jazboñ kā samundar de diyā maiñ ne
jis ābādī meñ be-sūraj añdherā hī añdherā thā
use bhī chāñdnī-rātoñ kā manzar de diyā maiñ ne
jo muddat se gire the be-par-o-bālī kī khaa.ī meñ
uḌānoñ ke liye un ko bhī shahpar de diyā maiñ ne
jo palkoñ par sajā kar aas ke kuchh ḳhvāb baiThe the
unheñ un kī tamannāoñ kā maz.har de diyā maiñ ne
kaho 'dildār' mujh se aur kyā ab chāhiye tum ko
tumhāre shahr ko tahzīb kā ghar de diyā maiñ ne
Top Urdushayar.com